Thursday, September 3, 2009

woh din...woh baate....

Jo Kam main pehle karta tha who aaj nahi kyon karta hun,
sapne jo pehle dekhe the woh pure nahi kyon karta hun.

Subah savere sehat ko main gale lagaya karta tha... dosto ke sath masti main Os pi jaya karta tha…
aaj nahi fir kyon main un dino ko jeeta hun ,..kyon aaj Os nahi main calls per hi jeeta hun

dopahar ki dhoop main jeene main gappe marta tha …jab tak daant na pade ghar hi nahi jaate tha …
aaj kyon fir main gappe nahi marta hun ….aaj kyon nahi customer ko call karne se pehle dost ko call lagata hun

Sham ko bas 5 bajne ka intezaar hota tha …dosto ke sath hi sahi ..game main kabhi kabhi rota tha…
Aaj 5 kab bajte hai ..pata hi nahi chalta hai ...dosto ko kya kahun..sabhi ko yeh gham khalta hai ..

Raat ko khane ki thali per..gharwalo se baate hoti thi...sath main khana khate the ..aankhen neend se bojhil hoti thi...
Aaj bhi khana khana khata hun… sath main baate hoti hai …kaam main tab bhi karta hun ..jab duniya puri soti hai …

Per aaj bhi ...
Main khush hun ki main –main hi hota hun

subah jab uthta hun …Sakhi sang chai peeta hun ..tweety se baate karta hun ..dude se masti karta hun …
Gharwalo ko thoda sa tang karke hi ghar se bahar nikalta hun …
Aur sach main abhi bhi dosto ke sath hafte main do din to khub masti karta hun ...

Koshish yeh hai ki kam jo pehle karta tha ..aaj bhi main who kar paun…
Thodi si khushiya le jaun ..jab bh jaha bhi main jaun….