aksar main waqt se jab baatein karta hoon ...
purane lamhon main kuch is tarah kho jata hoon ...
papa ki daat padh le warna fail ho jaana tane ...
maa ka pyar kha le warna sookh jaana tane ...
bhai ki choclate chupke se kaha jaana mane ...
doston ke saath us haseen padosi ki rah dekhna mane ...
woh haseen mulakaten Mc'D's par ghanto time bitana apne ...
har pal jate aaj bhi jab aankhen band karta hoon ...
fir se us purane waqt main ek bar aur kho jaata hoon ...
aksar main waqt se jab baatein karta hoon ...
aksar main waqt se jab batein karta hoon ...
college ke woh din sasi( chai wala) ki chai jane kyon yaad aata hai ...
woh bak bak woh night out kyon bhulaya nahi jaata hai ...
woh aashique main chade parwana bane firna ...
woh kadki main chai aur sutta share karna ...
hum roz wing main gulzar bane love guru ke gyan sunna ...
woh naye naye ideas par companiyan khadi kar dena ...
na jaane aaj bhi kyon woh mere doston ka mere saath hasna ...
woh roomie ka breakup hone par usse treat lena ...
woh back bench main kaale ki class main sona ...
semester khatam hone par dhabe main masti ki ganga bhana ...
aur lamha lamha gadi rok kar hari grass tar karna ...
jab sochta hoon fir se bachpan main khoya pata hoon ...
aksar main waqt se jab batein karta hoon ...
aksar main waqt se jab batein karta hoon ...
umeed ke buland sitaron ko jab falak se jhaak kar dekhta hoon ...
unhe gardish main kahin chup chap chupe nazar paata hoon ...
kaash mere pankh hote uski khusboo ki talash main awara udta ...
uske husn ko ek baar phir nazron main kaid kar leta ...
har khushi har gum se phir begana phirta ...
har sharam har nazar ko phir chori kar leta ...
aksar main waqt se jab batein karta hoon ...
aksar main waqt se jab batein karta hoon ...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
Bachpan ke sare paapo ka pata chal raha hai Sandy. achha likha hai. keep posting.
Behtareen Mr. Acharya...
Post a Comment